har  aan  sitam  Dhaa.e  hai  kyā  jāniye  kyā  ho
dil-e-ġham  se  bhī  ghabrā.e  hai  kyā  jāniye  kyā  ho
kyā  ġhair  ko  DhūñDeñ  ki  tire  kūche  meñ  har  ek
apnā  sā  nazar  aa.e  hai  kyā  jāniye  kyā  ho
āñkhoñ  ko  nahīñ  raas  kisī  yaad  kā  aañsū
tham  tham  ke  Dhalak  jaa.e  hai  kyā  jāniye  kyā  ho
is  bahr  meñ  ham  jaisoñ  pe  har  mauja-e-pur-ḳhūñ
aa  aa  ke  guzar  jaa.e  hai  kyā  jāniye  kyā  ho
duniyā  se  nirāle  haiñ  tirī  bazm  ke  dastūr
jo  aa.e  so  pachhtā.e  hai  kyā  jāniye  kyā  ho