ruk  jā  hujūm-e-gul  ki  abhī  hausla  nahīñ
dil  se  ḳhayāl-e-tañgī-e-dāmāñ  gayā  nahīñ
jo  kuchh  haiñ  sañg-o-ḳhisht  haiñ  yā  gard-e-rah-guzar
tum  tak  jo  aa.e  un  kā  koī  naqsh-e-pā  nahīñ
har  āstāñ  pe  likhkhā  hai  ab  nām-e-shahr-yār
vābistagān-e-dil  kai  liye  koī  jā  nahīñ
sad-haif  us  ke  haath  hai  har  zaḳhm  kā  rafū
dāman  meñ  jis  ke  ek  bhī  tār-e-vafā  nahīñ