jaañ  denā  bas  ek  ziyāñ  kā  saudā  thā
rāh-e-talab  meñ  kis  ko  ye  andāza  thā
āñkhoñ  meñ  dīdār  kā  kājal  Daalā  thā
āñchal  pe  ummīd  kā  taara  Tāñkā  thā
hāthoñ  kī  bāñkeñ  chhan  chhan  chhan  hañstī  thiiñ
pairoñ  kī  jhāñjhan  ko  ġhussa  aatā  thā
havā  sakhī  thī  merī,  rut  ham-jolī  thī
ham  tīnoñ  ne  mil  kar  kyā  kyā  sochā  thā
har  kone  meñ  apne  aap  se  bāteñ  kiiñ
har  pahchal  par  ā.īne  meñ  dekhā  thā
shaam  Dhale  aahaT  kī  kirneñ  phūTī  thiiñ
sūraj  Duub  ke  mere  ghar  meñ  niklā  thā