ye  hukm  hai  ki  añdhere  ko  raushnī  samjho
mile  nasheb  to  koh-o-daman  kī  baat  karo
nahīñ  hai  mai  na  sahī  chashm-e-iltifāt  to  hai
na.ī  hai  bazm  tarīq-e-kuhan  kī  baat  karo
fareb-ḳhurda-e-manzil  haiñ  ham  ko  kyā  mālūm
ba-tarz-e-rāhbarī  rāhzan  kī  baat  karo
ḳhizāñ  ne  aa  ke  kahā  mere  ġham  se  kyā  hāsil
jahāñ  bahār  luTī  us  chaman  kī  baat  karo
qadam  qadam  pe  farozāñ  haiñ  āñsuoñ  ke  charāġh
unheñ  bujhāo  to  sub.h-e-vatan  kī  baat  karo
bahār  aa.e  to  chup  chaap  hī  guzar  jaa.e
na  rañg-o-bū  kī  na  sarv-o-saman  kī  baat  karo