koī  hañgāma  sar-e-bazm  uThāyā  jaa.e
kuchh  kiyā  jaa.e  charāġhoñ  ko  bujhāyā  jaa.e
bhūlnā  ḳhud  ko  to  āsāñ  hai  bhulā  baiThā  huuñ
vo  sitamgar  jo  na  bhūle  se  bhulāyā  jaa.e
jis  ke  baa.is  haiñ  ye  chehre  kī  lakīreñ  maġhmūm
ġhair-mumkin  hai  ki  manzar  vo  dikhāyā  jaa.e
shaam  ḳhāmosh  hai  aur  chāñd  nikal  aayā  hai
kyuuñ  na  ik  naqsh  hī  paanī  pe  banāyā  jaa.e
zaḳhm  hañste  haiñ  to  ye  fasl-e-bahār  aatī  hai
haañ  isī  baat  pe  phir  zaḳhm  lagāyā  jaa.e