is  ummīd  pe  roz  charāġh  jalāte  haiñ
aane  vaale  barsoñ  ba.ad  bhī  aate  haiñ
ham  ne  jis  raste  par  us  ko  chhoḌā  hai
phuul  abhī  tak  us  par  khilte  jaate  haiñ
din  meñ  kirneñ  āñkh-micholī  kheltī  haiñ
raat  ga.e  kuchh  jugnū  milne  jaate  haiñ
dekhte  dekhte  ik  ghar  ke  rahne  vaale
apne  apne  ḳhānoñ  meñ  baT  jaate  haiñ
dekho  to  lagtā  hai  jaise  dekhā  thā
socho  to  phir  naam  nahīñ  yaad  aate  haiñ
kaisī  achchhī  baat  hai  'zehra'  terā  naam
bachche  apne  bachchoñ  ko  batlāte  haiñ