tirā  ḳhayāl  farozāñ  hai  dekhiye  kyā  ho
ḳhamosh  gardish-e-daurāñ  hai  dekhiye  kyā  ho
na  jaane  kitne  sitāre  ye  kahte  Duub  ga.e
sahar  kā  rañg  pareshāñ  hai  dekhiye  kyā  ho
kalī  udaas  chaman  sogvār  gul  ḳhāmosh
ye  intizār-e-bahārāñ  hai  dekhiye  kyā  ho
ajiib  baat  hai  in  tīrgī  kī  rāhoñ  meñ
nafas  nafas  meñ  charāġhāñ  hai  dekhiye  kyā  ho
bhaḌak  rahā  hai  abhī  tak  charāġh  āḳhir-e-shab
use  bhī  sub.h  kā  armāñ  hai  dekhiye  kyā  ho