apnā  har  andāz  āñkhoñ  ko  tar-o-tāza  lagā
kitne  din  ke  ba.ad  mujh  ko  ā.īna  achchhā  lagā
saara  ārā.ish  kā  sāmāñ  mez  par  sotā  rahā
aur  chehra  jagmagātā  jāgtā  hañstā  lagā
malgaje  kapḌoñ  pe  us  din  kis  ġhazab  kī  aab  thī
saare  din  kā  kaam  us  din  kis  qadar  halkā  lagā
chaal  par  phir  se  numāyāñ  thā  dil-āvezī  kā  zo.am
jis  ko  vāpas  aate  aate  kis  qadar  arsa  lagā
maiñ  to  apne  aap  ko  us  din  bahut  achchhī  lagī
vo  jo  thak  kar  der  se  aayā  use  kaisā  lagā