rishte  se  muhāfiz  kā  ḳhatra  jo  nikal  jaatā
manzil  pe  bhī  aa  jaate  naqsha  bhī  badal  jaatā
is  jhuuT  kī  daldal  se  bāhar  bhī  nikal  aate
duniyā  meñ  bhī  sar  uThtā  aur  ghar  bhī  sambhal  jaatā
hañste  hue  būḌhoñ  ko  qisse  ka.ī  yaad  aate
rote  hue  bachchoñ  kā  ronā  bhī  bahal  jaatā
kyuuñ  apne  pahāḌoñ  ke  sīnoñ  ko  jalāte  ham
ḳhatra  to  mohabbat  ke  ik  phuul  se  Tal  jaatā
is  shahr  ko  raas  aa.ī  ham  jaisoñ  kī  gum-nāmī
ham  naam  batāte  to  ye  shahr  bhī  jal  jaatā
vo  saath  na  detā  to  vo  daad  na  detā  to
ye  likhne-likhāne  kā  jo  bhī  hai  ḳhalal  jaatā