FaIyaz Rashk

taqat ke sare zor ko KHamosh kar diya

FaIyaz Rashk

Bihar, India

1953
tāqat ke saare zor ko ḳhāmosh kar diyā
ḳhāmoshiyoñ ne shor ko ḳhāmosh kar diyā
jis Dor se nikaltī rahī pyaar kī sadā
zālim ne aise Dor ko ḳhāmosh kar diyā
sab kuchh to Thiik thā jo nazar paañv par paḌī
mastī meñ Duube mor ko ḳhāmosh kar diyā
vo bhiiḌ thī jo TuuT paḌī aur us jagah
hāthoñ meñ aa.e chor ko ḳhāmosh kar diyā
aksar yahī huā hai ki jismoñ kī aag ne
jismoñ ke por por ko ḳhāmosh kar diyā
ai dost mai se duur hī rahnā ki us ne to
kitne hī bāda-ḳhor ḳhāmosh kar diyā
'fayyāz' ham diyā nahīñ jis ko ki aap ne
shab-bhar jalāyā bhor ko ḳhāmosh kar diyā
Top Urdushayar.com