Sabihuddin Shaibi

maine dekha hai kaisa ye sapna naya raat ke is pahar

Sabihuddin Shaibi

Karachi, Sindh, Pakistan

1983

maiñ ne dekhā hai kaisā ye sapnā nayā raat ke is pahar

mujh se bichhḌā huā koī apnā milā raat ke is pahar

niiñd kyoñ uḌ ga.ī chain kyoñ kho gayā raat ke is pahar

ye achānak mire saath kyā ho gayā raat ke is pahar

yuuñ lagā mujh ko jaise fazā ḳhushbūoñ se mahakne lagī

phir kisī galī se chalī hai havā raat ke is pahar

dil meñ jaagī hai kaisī tamannā na.ī ḳhud maiñ hairān huuñ

ik na.ī aarzū ne mujhe chhū liyā raat ke is pahar

ek manzil basī thī nigāhoñ meñ jaane vo kyā ho ga.ī

aur ḳhud-baḳhud ek gulshan basā raat ke is pahar

us bikhrī huī laT ne uljhā.e rakkhā mujhe aur maiñ

chāhtā thā haTā duuñ na mumkin huā raat ke is pahar

aur kyā kījiyegā 'sabīh' us ab aap manzar-kashī

pal jo aayā aur aa kar chalā bhī gayā raat ke is pahar

Top Urdushayar.com