ajiib  manzar-e-bālā-e-bām  hotā  hai
jab  āshkār  vo  māh-e-tamām  hotā  hai
hirās-e-shab,  asar-e-zo.af,  ḳhauf-e-rāhzanāñ
musāfiroñ  pe  girāñ  vaqt-e-shām  hotā  hai
bas  ik  nigāh  pe  hai  dil  kā  faisla  mauqūf
bas  ik  nigāh  meñ  qissa  tamām  hotā  hai
jab  apne  ghar  pe  bulātā  huuñ  maiñ  kabhī  un  ko
unheñ  zarūr  koī  ḳhaas  kaam  hotā  hai
javāb  de  nahīñ  saktī  zabān-e-shauq  mirī
kuchh  is  adā  se  koī  ham-kalām  hotā  hai
rah-e-junūñ  meñ  lipaTte  haiñ  paañv  se  kāñTe
ba-har  qadam  ye  mirā  ehtirām  hotā  hai
nazar  nazar  pe  sar-e-bazm  hai  nazar  un  kī
nazar  nazar  meñ  salām-o-payām  hotā  hai
'nasīr'  ahl-e-vafā  ke  baḌe  marātib  haiñ
bahut  buland  vafā  kā  maqām  hotā  hai