kabhī  un  kā  naam  lenā  kabhī  un  kī  baat  karnā
mirā  zauq  un  kī  chāhat  mirā  shauq  un  pe  marnā
vo  kisī  kī  jhiil  āñkheñ  vo  mirī  junūñ-mizājī
kabhī  Dūbnā  ubhar  kar  kabhī  Duub  kar  ubharnā
tire  manchaloñ  kā  jag  meñ  ye  ajab  chalan  rahā  hai
na  kisī  kī  baat  sunñā,  na  kisī  se  baat  karnā
shab-e-ġham  na  pūchh  kaise  tire  mubtalā  pe  guzrī
kabhī  aah  bhar  ke  girnā  kabhī  gir  ke  aah  bharnā
vo  tirī  galī  ke  tevar,  vo  nazar  nazar  pe  pahre
vo  mirā  kisī  bahāne  tujhe  dekhte  guzarnā
kahāñ  mere  dil  kī  hasrat,  kahāñ  merī  nā-rasā.ī
kahāñ  tere  gesuoñ  kaa,  tire  dosh  par  bikharnā
chale  laakh  chaal  duniyā  ho  zamāna  laakh  dushman
jo  tirī  panāh  meñ  ho  use  kyā  kisī  se  Darnā
vo  kareñge  nā-ḳhudā.ī  to  lagegī  paar  kashtī
hai  'nasīr'  varna  mushkil,  tirā  paar  yuuñ  utarnā