Peer Nasiruddin Shah Naseer

meri zist par masarrat kabhi thi na hai na hogi

Peer Nasiruddin Shah Naseer

Golra Sharif, Islamabad, Pakistan

1949-2009
mirī ziist par masarrat kabhī thī na hai na hogī
koī behtarī kī sūrat kabhī thī na hai na hogī
mujhe husn ne satāyā, mujhe ishq ne miTāyā
kisī aur kī ye hālat kabhī thī na hai na hogī
vo jo be-ruḳhī kabhī thī vahī be-ruḳhī hai ab tak
mire haal par ināyat kabhī thī na hai na hogī
vo jo hukm deñ bajā hai, mirā har suḳhan ḳhatā hai
unheñ merī rū-ri.āyat kabhī thī na hai na hogī
jo hai gardishoñ ne gherā, to nasīb hai vo merā
mujhe aap se shikāyat kabhī thī na hai na hogī
tire dar se bhī nibāhe, dar-e-ġhair ko bhī chāhe
mire sar ko ye ijāzat kabhī thī na hai na hogī
tirā naam tak bhulā duuñ, tirī yaad tak miTā duuñ
mujhe is tarah kī jur.at kabhī thī na hai na hogī
maiñ ye jānte hue bhii, tirī anjuman meñ aayā
ki tujhe mirī zarūrat kabhī thī na hai na hogī
tū agar nazar milā.e, mirā dam nikal hī jaa.e
tujhe dekhne kī himmat kabhī thī na hai na hogī
jo gila kiyā hai tum se, to samajh ke tum ko apnā
mujhe ġhair se shikāyat kabhī thī na hai na hogī
tirā husn hai yagāna, tire saath hai zamāna
mire saath merī qismat kabhī thī na hai na hogī
ye karam hai dostoñ kaa, vo jo kah rahe haiñ sab se
ki 'nasīr' par ināyat kabhī thī na hai na hogī
Top Urdushayar.com