merī  tahrīroñ  kā  mahvar  ek  be-sar  fāḳhta
merā  naara  ḳhāmushī  merā  payambar  fāḳhta
ek  āñgan  qahqahoñ  aur  siskiyoñ  se  be-ḳhabar
chhat  pe  ik  parcham  phaTā  sā  aur  dar  par  fāḳhta
tere  rastoñ  kī  rukāvaT  shāḳh  ik  zaitūn  kī
tere  aivānoñ  ke  andar  jāgtā  Dar  fāḳhta
shaam  pyārī  shaam  us  par  bhī  koī  dar  khol  de
shāḳh  par  baiThī  huī  hai  ek  beghar  fāḳhta
ek  jānib  ujle  paanī  kā  bulāvā  aur  huā
dūsrī  samt  ik  akelī  aur  be-par  fāḳhta