be-tukī  raushnī  meñ  parā.e  andhere  liye
ek  manzar  hai  tere  liye  ek  mere  liye
ik  gul-e-ḳhvāb  aisā  khulā  shāḳh  murjhā  ga.ī
maiñ  ne  mastī  meñ  ik  ism  ke  saat  phere  liye
dar  darīche  muqaffal  kiye  kunjiyāñ  pheñk  diiñ
chal  paḌe  apne  kandhoñ  pe  apne  basere  liye
terī  ḳhātir  mire  garm  ḳhitte  kī  ThanDī  havā
sab  harī  Tahniyāñ  aur  un  par  khile  phuul  tere  liye
shām-e-vāda  ne  kis  din  hamārā  irāda  sunā
kab  kise  shab  milī  aur  kis  ne  savere  liye