muhīb  raat  ke  gunjān  pāniyoñ  se  nikal
na.ī  sahar  ke  sitāre  tū  chimniyoñ  se  nikal
har  ek  had  se  pare  apnā  boriyā  le  jā
badī  kā  naam  na  le  aur  nekiyoñ  se  nikal
ai  mere  mehr  tū  us  kī  chhatoñ  pe  āḳhir  ho
ai  mere  maah  tū  aaj  us  kī  khiḌkiyoñ  se  nikal
nikal  ke  dekh  tirī  muntazir  qatār  qatār
aziiz  dāna-e-gandum  tū  boriyoñ  se  nikal
tū  merī  nazm  ke  asrār  meñ  huvaidā  ho
tū  mere  kashf  kī  nādīda  ghāTiyoñ  se  nikal
ai  pichhlī  umr  idhar  sūkhī  pattiyoñ  meñ  aa
ai  agle  saal  bujhī  mom-battiyoñ  se  nikal