ai  sail-e-āb  Thahar  ab  ke  gardanoñ  tak  rah
tanoñ  kī  taḳhtiyāñ  dhonī  haiñ  bas  tanoñ  tak  rah
jahāñ  hai  shahr  vahāñ  duur  tak  darinde  haiñ
ġhazal,  ġhazāl  ke  hoñToñ  pe  aa  banoñ  tak  rah
galī  meñ  taak  meñ  baiThe  haiñ  tifl-e-sañg-ba-dast
ai  merī  ḳhvāhish-e-ayyār  āñganoñ  tak  rah
bahut  se  kaam  haiñ  jin  se  nipaTnā  baaqī  hai
visāl-rut  to  baḌī  shai  hai  sāvanoñ  tak  rah
havā  meñ  tiir  chalāne  se  fā.eda  'jāved'
tirī  jab  āñkheñ  khulī  haiñ  to  dushmanoñ  tak  rah