havā  chalegī  magar  sitārā  nahīñ  chalegā
samundaroñ  meñ  tirā  ishārā  nahīñ  chalegā
yahī  raheñge  ye  dar  ye  galiyāñ  yahī  raheñgī
tumhī  chaloge  koī  nazāra  nahīñ  chalegā
shab-e-safar  hai  hatheliyoñ  par  bhañvar  ugeñge
tumhāre  ham-rāh  ab  kinārā  nahīñ  chalegā
suno  ki  ab  ham  gulāb  deñge  gulāb  leñge
mohabbatoñ  meñ  koī  ḳhasāra  nahīñ  chalegā
bahār  maqrūz  hai  gharoñ  aur  maqbaroñ  kī
guloñ  pe  rastoñ  kā  hī  ijāra  nahīñ  chalegā