Nazeer Banarasi

akasr is tarah se bhi raat basar hoti hai

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
akasr is tarah se bhī raat basar hotī hai
raat kī raat nazar jānib-e-dar hotī hai
jis se duniyā-e-sukūñ zer-o-zabar hotī hai
vo mulāqāt sar-e-rāhguzar hotī hai
Thes lagtī hai jahāñ ishq kī ḳhuddārī ko
zindagī baḌh ke vahīñ sīna-sipar hotī hai
ye sapedī-e-sahar hai ki sitāroñ kā kafan
raat dam toḌ rahī hai ki sahar hotī hai
apne dāman se to maiñ poñchh rahā huuñ aañsū
dāman-e-dost kī tauhīn magar hotī hai
aap ārā.ish-e-gesū meñ lage haiñ nāhaq
fāteh-e-dil to mohabbat kī nazar hotī hai
rāsta roke hue kab se khaḌī hai duniyā
na idhar hotī hai zālim na udhar hotī hai
tū nazar bhar ke sar-e-bazm na dekh un ko 'nazīr'
is se rusvā.ī-e-tahzīb-e-nazar hotī hai
Top Urdushayar.com