akasr  is  tarah  se  bhī  raat  basar  hotī  hai
raat  kī  raat  nazar  jānib-e-dar  hotī  hai
jis  se  duniyā-e-sukūñ  zer-o-zabar  hotī  hai
vo  mulāqāt  sar-e-rāhguzar  hotī  hai
Thes  lagtī  hai  jahāñ  ishq  kī  ḳhuddārī  ko
zindagī  baḌh  ke  vahīñ  sīna-sipar  hotī  hai
ye  sapedī-e-sahar  hai  ki  sitāroñ  kā  kafan
raat  dam  toḌ  rahī  hai  ki  sahar  hotī  hai
apne  dāman  se  to  maiñ  poñchh  rahā  huuñ  aañsū
dāman-e-dost  kī  tauhīn  magar  hotī  hai
aap  ārā.ish-e-gesū  meñ  lage  haiñ  nāhaq
fāteh-e-dil  to  mohabbat  kī  nazar  hotī  hai
rāsta  roke  hue  kab  se  khaḌī  hai  duniyā
na  idhar  hotī  hai  zālim  na  udhar  hotī  hai
tū  nazar  bhar  ke  sar-e-bazm  na  dekh  un  ko  'nazīr'
is  se  rusvā.ī-e-tahzīb-e-nazar  hotī  hai