jo  ġhazal  mahloñ  se  chal  kar  jhoñpaḌoñ  tak  aa  ga.ī
kal  sunoge  gaañv  ke  chaupāl  tak  par  chhā  ga.ī
khet  meñ  jo  chug  rahī  thī  qaid  meñ  ghabrā  ga.ī
gaañv  kī  mainā  jo  aa.ī  shahr  meñ  dubrā  ga.ī
aisī  raanī  jis  kā  jī  lagtā  na  thā  vanvās  maiñ
ik  mohabbat  kī  badaulat  us  ko  kuTiyā  bhā  ga.ī
señk  detā  thā  jo  jaaḌe  meñ  ġharīboñ  ke  badan
aaj  us  sūraj  ko  ik  dīvār  uTh  kar  khā  ga.ī
kaisī  kaisī  shaḳhsiyat  algāv-vādī  ho  ga.ī
kaise  kaise  zehn  ko  firqa-parastī  khā  ga.ī
us  kī  sattar  kī  kamā.ī  aur  pachāsī  kā  hai  ḳharch
aadmī  achchhā  thā  us  ko  ghar  kī  chintā  khā  ga.ī
ek  pal  meñ  umr-bhar  kā  saath  chhūTā  hai  'nazīr'
bad-gumānī  zindagī-bhar  kī  kamā.ī  khā  ga.ī