haiñ  yuuñ  mast  āñkhoñ  meñ  Dore  gulābī
sharābī  ke  pahlū  meñ  jaise  sharābī
vo  āñkheñ  gulābī  aur  aisī  gulābī
ki  jis  rut  ko  dekheñ  banā  deñ  sharābī
badaltā  hai  har  daur  ke  saath  saaqī
ye  duniyā  hai  kitnī  baḌī  inqilābī
javānī  meñ  is  tarah  miltī  haiñ  nazreñ
sharābī  se  miltā  hai  jaise  sharābī
nichoḌo  koī  baḌh  ke  dāman  shafaq  kā
falak  par  ye  kis  ne  girā  dī  gulābī
ghanī  mast  palkoñ  ke  saa.e  meñ  nazreñ
bahakte  hue  mai-kadoñ  meñ  sharābī
zarā  mujh  se  bachte  raho  pārsāo
kahīñ  tum  ko  chhū  le  na  merī  ḳharābī
'nazīr'  apnī  duniyā  to  ab  tak  yahī  hai
sharāb  āftābī  fazā  māhtābī