tum  nain  ke  donoñ  paT  mere  liye  vā  rakhnā
maiñ  jald  hī  lauTūñgā  darvāza  khulā  rakhnā
jo  kahnā  ho  kah  Daalo  ho  jā.egā  jī  halkā
jo  baat  hai  kahne  kī  dil  meñ  use  kyā  rakhnā
hai  zinda-dilī  daulat  sab  ḳharch  na  kar  denā
shāyad  kabhī  kaam  aa.e  thoḌī  sī  bachā  rakhnā
halkī  sī  kamī  karnā  kal  kamre  kī  zīnat  meñ
tasvīr  haTā  denā  aa.ina  lagā  rakhnā
sāmān-e-safar  pyāre  kyā  saath  na  luuñ  kyā  luuñ
ik  shab  kā  musāfir  huuñ  kyā  chhoḌnā  kyā  rakhnā
qistoñ  meñ  'nazīr'  un  se  hāl-e-ġham-e-dil  kahnā
kuchh  aaj  sunā  denā  kuchh  kal  pe  uThā  rakhnā