hue  mujh  se  jis  ghaḌī  tum  judā  tumheñ  yaad  ho  ki  na  yaad  ho
mirī  har  nazar  thī  ik  iltijā  tumheñ  yaad  ho  ki  na  yaad  ho
vo  tumhārā  kahnā  ki  jā.eñge  agar  aa  sake  to  phir  ā.eñge
use  ik  zamāna  guzar  gayā  tumheñ  yaad  ho  ki  na  yaad  ho
mirī  be-qarāriyāñ  dekh  kar  mujhe  tum  ne  dī  thiiñ  tasalliyāñ
mirā  chehra  phir  bhī  udaas  thā  tumheñ  yaad  ho  ki  na  yaad  ho
mirī  bebasī  ne  zabān  tak  jise  lā  ke  tum  ko  rulā  diyā
mire  TuuTe  saaz  kī  vo  sadā  tumheñ  yaad  ho  ki  na  yaad  ho
tumheñ  chand  qatra-e-ashk  bhī  kiye  pesh  jis  ke  javāb  meñ
vo  salām  nīchī  nigāh  kā  tumheñ  yaad  ho  ki  na  yaad  ho
mire  shāne  par  yahī  zulf  thī  jo  hai  aaj  mujh  se  khiñchī  khiñchī
mire  haath  meñ  yahī  haath  thā  tumheñ  yaad  ho  ki  na  yaad  ho
kabhī  haath  meñ  jo  sharāb  lī  vahīñ  tum  ne  chhīn  ke  pheñk  dī
mujhe  yaad  hai  mire  pārsā  tumheñ  yaad  ho  ki  na  yaad  ho
kahīñ  tum  ko  jaanā  huā  agar  na  ga.e  baġhair  'nazīr'  ke
vo  zamāna  apne  'nazīr'  kā  tumheñ  yaad  ho  ki  na  yaad  ho