vo  jo  bichhḌe  maut  yaad  aane  lagī
zindagī  tanhā  thī  ghabrāne  lagī
jab  vo  mere  haal  par  hañsne  lage
mujh  ko  duniyā  par  hañsī  aane  lagī
ghar  se  vo  jaate  haiñ  ghar  kī  ḳhair  ho
raunaq-e-dīvār-o-dar  jaane  lagī
itnā  jaage  intizār-e-dost  meñ
hasratoñ  ko  niiñd  sī  aane  lagī
be-sahārā  ho  chalī  thī  zindagī
vo  to  kahiye  un  kī  yaad  aane  lagī
us  nazar  kī  ek  jumbish  par  'nazīr'
kā.enāt-e-ishq  lahrāne  lagī