bad-gumānī  ko  baḌhā  kar  tum  ne  ye  kyā  kar  diyā
ḳhud  bhī  tanhā  ho  ga.e  mujh  ko  bhī  tanhā  kar  diyā
zinda  rakhne  ke  liye  rakkhā  hai  achchhā  silsila
ik  miTāyā  dūsrā  armān  paidā  kar  diyā
aap  samjhāne  bhī  aa.e  qibla-o-ka.aba  to  kab
ishq  ne  jab  be-niyāz-e-dīn-o-duniyā  kar  diyā
bandagān-e-daur-e-hāzir  kī  ḳhudā.ī  dekhiye
jis  jagah  jis  vaqt  chāhā  hashr  barpā  kar  diyā
kal  kī  kal  hai  kal  jab  aa.egā  to  samjhā  jā.egā
aaj  to  saaqī  ne  dil  kā  bojh  halkā  kar  diyā
mohtaram  pī  lījiye  mausam  ne  mauqa.a  de  diyā
dekhiye  kaalī  ghaTā  ne  uTh  ke  pardā  kar  diyā
vo  ghar  aa.e  the  'nazīr'  aise  meñ  kuchh  kahnā  na  thā
shukr  kā  mauqa.a  thā  pyāre  tū  ne  shikvā  kar  diyā