aur  to  kuchh  na  huā  pī  ke  bahak  jaane  se
baat  mai-ḳhāne  kī  bāhar  ga.ī  mai-ḳhāne  se
koī  paimāna  laḌā  jab  kisī  paimāne  se
ham  ne  samjhā  ki  pukārā  gayā  mai-ḳhāne  se
do  nigāhoñ  kā  javānī  meñ  hai  aisā  milnā
jaise  dīvāne  kā  milnā  kisī  dīvāne  se
dil  kī  duniyā  meñ  saverā  sā  nazar  aatā  hai
hasrateñ  jaag  uThī  haiñ  tire  aa  jaane  se
dil  kī  ujḌī  huī  hālat  pe  na  jaa.e  koī
shahr  ābād  hue  haiñ  isī  vīrāne  se
jalva-gar  aaj  unheñ  bhī  sar-e-mimbar  dekhā
jin  ko  dekhā  thā  nikalte  hue  mai-ḳhāne  se
dar-o-dīvār  pe  qabza  hai  udāsī  'nazīr'
ghar  mirā  ghar  na  rahā  un  ke  chale  jaane  se