din  Dhalā  jaatā  hai  shaam  aatī  hai  ghabrātā  huuñ  maiñ
Dūbtā  jaatā  hai  sūraj  Dūbtā  jaatā  huuñ  maiñ
ik  Thikāna  thā  jahāñ  bahlā  liyā  kartā  thā  dil
aaj  us  mahfil  ko  bhī  zer-o-zabar  paatā  huuñ  maiñ
aa  ga.ī  hai  yaad  aaj  apne  dil-e-marhūm  kī
saarī  duniyā  sog  meñ  Duubī  huī  paatā  huuñ  maiñ
merī  guzrī  zindagī  āvāz  detī  hai  mujhe
ai  muġhannī  band  kar  naġhma  ki  ghabrātā  huuñ  maiñ
rafta  rafta  ishq  is  manzil  meñ  laayā  hai  mujhe
dard  uThtā  hai  kisī  ko  aur  taḌap  jaatā  huuñ  maiñ
tum  vahī  mahfil  vahī  mahfil  kī  ra.anā.ī  vahī
in  dinoñ  kuchh  apne  hī  ko  dūsrā  paatā  huuñ  maiñ
ye  safedī  hai  sahar  kī  yā  tamannā  kā  kafan
haa.e  kyā  paanā  thā  kyā  vaqt-e-sahar  paatā  huuñ  maiñ
raushnī  detā  huuñ  sab  ko  ik  bujhe  dil  se  'nazīr'
apnī  sard  aahoñ  se  har  mahfil  ko  garmātā  huuñ  maiñ