ham  un  ke  dar  pe  na  jaate  to  aur  kyā  karte
unheñ  ḳhudā  na  banāte  to  aur  kyā  karte
baġhair  ishq  añdhere  meñ  thī  tirī  duniyā
charāġh-e-dil  na  jalāte  to  aur  kyā  karte
hameñ  to  us  lab-e-nāzuk  ko  denī  thī  zahmat
agar  na  baat  baḌhāte  to  aur  kyā  karte
ḳhatā  koī  nahīñ  pīchhā  kiye  hue  duniyā
jo  mai-kade  meñ  na  jaate  to  aur  kyā  karte
añdherā  māñgne  aayā  thā  raushnī  kī  bhiik
ham  apnā  ghar  na  jalāte  to  aur  kyā  karte
kisī  se  baat  jo  kī  hai  to  vo  ḳhafā  haiñ  'nazīr'
kisī  ko  dost  banāte  to  aur  kyā  karte