kitnī  sharmīlī  lajīlī  hai  havā  barsāt  kī
miltī  hai  un  kī  adā  se  har  adā  barsāt  kī
jaane  kis  mahivāl  se  aatī  hai  milne  ke  liye
sohnī  gaatī  huī  sauñdhī  havā  barsāt  kī
us  ke  ghar  bhī  tujh  ko  aanā  chāhiye  thā  ai  bahār
jis  ne  sab  ke  vāste  māñgī  duā  barsāt  kī
ab  kī  bārish  meñ  na  rah  jaa.e  kisī  ke  dil  meñ  mail
sab  kī  gagrī  dho  ke  bhar  de  ai  ghaTā  barsāt  kī
dekhiye  kuchh  aise  bhī  bīmār  haiñ  barsāt  ke
botaloñ  meñ  le  ke  nikle  haiñ  davā  barsāt  kī
jeb  apnī  dekh  kar  mausam  se  yaarī  kījiye
ab  kī  mahñgī  hai  bahut  āb-o-havā  barsāt  kī
bādaloñ  kī  ghan-garaj  ko  sun  ke  bachche  kī  tarah
chauñk  chauñk  uThtī  hai  rah  rah  kar  fazā  barsāt  kī
rāste  meñ  tum  agar  bhīge  to  ḳhafgī  mujh  pe  kyuuñ
mere  munsif  pe  ḳhatā  merī  hai  yā  barsāt  kī
ham  to  bārish  meñ  khulī  chhat  par  na  so.eñge  'nazīr'
aap  tanhā  apne  sar  liije  balā  barsāt  kī