tūfāñ  se  thapeḌoñ  ke  sahāre  nikal  aa.e
Duube  the  burī  tarah  se  baare  nikal  aa.e
patthar  pe  paḌī  choT  sharāre  nikal  aa.e
be-dard  bhī  hamdard  hamāre  nikal  aa.e
ab  tak  koī  taskīn  kī  sūrat  nahīñ  niklī
din  Dhal  gayā  shaam  aa  ga.ī  taare  nikal  aa.e
un  ko  kisī  hālat  meñ  na  baḳhshegā  kinārā
auroñ  ko  Dubo  kar  jo  kināre  nikal  aa.e
dekhe  to  koī  mojaza-e-rabt-e-mohabbat
un  āñkhoñ  se  aaj  ashk  hamāre  nikal  aa.e
jo  chāho  karo  aaj  se  duniyā  hai  tumhārī
apnā  jinheñ  samjhā  vo  tumhāre  nikal  aa.e
ḳhud  mil  ga.e  us  but  se  mujhe  kar  ke  nasīhat
vaa.iz  bhī  ḳhudā  hī  ke  sañvāre  nikal  aa.e
ik  aise  buzurg  aaj  'nazīr'  aa  ga.e  piine
mai-ḳhāne  se  ham  sharm  ke  maare  nikal  aa.e