ye  ināyateñ  ġhazab  kī  ye  balā  kī  mehrbānī
merī  ḳhairiyat  bhī  pūchhī  kisī  aur  kī  zabānī
nahīñ  mujh  se  jab  ta.alluq  to  ḳhafā  ḳhafā  se  kyuuñ  haiñ
nahīñ  jab  mirī  mohabbat  to  ye  kaisī  bad-gumānī
mirā  ġham  rulā  chukā  hai  tujhe  bikhrī  zulf  vaale
ye  ghaTā  batā  rahī  hai  ki  baras  chukā  hai  paanī
tirā  husn  so  rahā  thā  mirī  chheḌ  ne  jagāyā
vo  nigāh  maiñ  ne  Daalī  ki  sañvar  ga.ī  javānī
mirī  be-zabān  āñkhoñ  se  gire  haiñ  chand  qatre
vo  samajh  sakeñ  to  aañsū  na  samajh  sakeñ  to  paanī
hai  agar  hasīñ  banānā  tujhe  apnī  zindagī  ko
to  'nazīr'  is  jahāñ  ko  na  samajh  jahān-e-fānī