nahīñ  kaTtā  hai  ye  maidān-e-balā
vādī-e-ḳhizr  bayābān-e-balā
musta.id  zulf  mirī  rañj  pe  hai
hai  muhayyā  sar-o-sāmān-e-balā
mar  gayā  gesu-e-pur-pech  meñ  dil
chhuT  gayā  qaidī-e-zindān-e-balā
haar  phūloñ  kī  haiñ  choTī  meñ  ayaañ
kyā  hī  phūlā  hai  gulistān-e-balā
bole  bikhrā  ke  vo  zulfeñ  apnī
ham  hue  silsila-jumbān-e-balā
ūñchī  choTī  hai  ġhazab  ai  yam-e-husn
kyā  hī  uTThā  hai  ye  tūfān-e-balā
kaan  kī  lau  tirī  zulfoñ  meñ  nahīñ
hai  charāġh-e-tah-e-dāmān-e-balā
garmī-e-ruḳh  se  araq-rez  hai  zulf
hai  guhar-bār  ye  naisān-e-balā
dil  mire  siine  meñ  hai  mahv-e-mizha
hai  yahī  sher-e-niyastān-e-balā