Agha Shayar Qazalbash

mujhko aata hai tayammum na wazu aata hai

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
mujh ko aatā hai tayammum na vazū aatā hai
sajda kar letā huuñ jab sāmne tū aatā hai
yuuñ to shikva bhī hameñ ā.īna-rū aatā hai
hoñT sil jaate haiñ jab sāmne tū aatā hai
haath dho.e hue huuñ nestī-o-hastī se
shaiḳh kyā pūchhtā hai mujh se vazū aatā hai
minnateñ kartī hai shoḳhī ki manā luuñ tujh ko
jab mire sāmne rūThā huā tū aatā hai
pūchhte kyā ho tamannāoñ kī hālat kyā hai
saañs ke saath ab ashkoñ meñ lahū aatā hai
yaar kā ghar koī kaaba to nahīñ hai 'shā.ir'
haa.e kam-baḳht yahīñ marne ko tū aatā hai
Top Urdushayar.com