Agha Shayar Qazalbash

na nikla munh se kuchh nikli na kuchh bhi qalb-e-muztar ki

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940

na niklā muñh se kuchh niklī na kuchh bhī qalb-e-muztar

kisī ke sāmne maiñ ban gayā tasvīr patthar

ḳhudā se kyuuñ na māñgūñ vaah maiñ bandoñ se kyā māñgūñ

mujhe mil jā.egī jo chiiz hai mere muqaddar

tasavvur chāhiye ai shaiḳh sab ek iimā hai

sadā hai parda-e-nāqūs meñ allāhu-akbar

dil-e-rāhat-talab ko qabr meñ kyā be-qarārī hai

mujhe ghabrā.e detī hai udāsī is na.e ghar

kaleje meñ hazāroñ daaġh dil meñ hasrateñ lākhoñ

kamā.ī le chalā huuñ saath apne zindagī bhar

sambhal kar dekhnā ārā.ishoñ ke baad ā.īna

ye ā.īna nahīñ hai ab ye TukḌe hai barābar

mire ash.ār 'shā.ir' daaġh o aasif jaah se pūchho

ki shaah o jauhrī jānte haiñ qadr gauhar

Top Urdushayar.com