teġh-e-uryāñ  pe  tumhārī  jo  paḌī  merī  aañkh
chashm-e-jauhar  se  ajī  ḳhuub  laḌī  merī  aañkh
na  haTī  peT  par  us  ke  jo  paḌī  merī  aañkh
ban  ga.ī  nāf-e-shikam  aise  aḌī  merī  aañkh
ashk-e-gul  rañg  pirotī  hai  mizha  meñ  kyā  ḳhuub
kyā  banātī  hai  ye  phūloñ  kī  chhaḌī  merī  aañkh
tum  rahe  baam  pe  yaañ  lag  ga.iiñ  āñkheñ  chhat  se
raat  gintī  rahī  har  ek  kaḌī  merī  aañkh
is  ḳhajālat  ne  abad  tak  mujhe  sone  na  diyā
hijr  meñ  lag  ga.ī  thī  ek  ghaḌī  merī  aañkh
dur-e-dandāñ  kī  bhalā  aa.ina  kyā  jaane  qadr
is  ko  dikhlāo  mubassir  hai  baḌī  merī  aañkh
ḳhat-e-ruḳhsār  nahīñ  pā-e-nigah  ke  haiñ  nishāñ
āriz-e-sāf  pe  sau  baar  paḌī  merī  aañkh
yaad  aa.e  jo  tire  teġh  kā  maalā  qātil
roke  paidā  kare  motī  kī  laḌī  merī  aañkh
raḳhna  dīvār  meñ  me.amār  banānā  kyā  thā
tū  ne  rauzan  ke  evaz  kyuuñ  na  jaḌī  merī  aañkh
zindagī  meñ  to  kiyā  mardum-e-ābī  mujh  ko
dekhūñ  ab  kyā  ho  mire  saath  gaḌī  merī  aañkh
zulf  kī  tarah  se  zanjīr  huī  jaatī  hai  narm
paḌtī  hai  josh-e-junūñ  meñ  ye  kaḌī  merī  aañkh
kyā  usī  ne  ye  kiyā  matla-e-abrū  mauzūñ
tum  jo  kahte  ho  suḳhan-goī  baḌī  merī  aañkh
chashm  meñ  surme  kā  dumbāla  banā  kar  bole
kyuuñ  asā  Tek  ke  ho  jaa.e  khaḌī  merī  aañkh
naḳhl-e-nargis  nahīñ  turbat  pe  nazāre  ke  liye
aa.ine  dekhtī  hai  raah  khaḌī  merī  aañkh
nazar  aa.egī  zamīñ  kashtī-e-dariyā-e-fanā
dekh  lenā  jo  mire  saath  gaḌī  merī  aañkh
bāġhbāñ  nahr  nahīñ  yaad  meñ  ik  kūche  kī
ro  rahī  hai  ye  gulistāñ  meñ  paḌī  merī  aañkh
karte  hī  ek  nigah  meñ  lab-e-nāzuk  ko  kabūd
kyā  banā  detī  hai  missī  kī  dhaḌī  merī  aañkh
aa.e  terā  jo  tasavvur  bhī  to  bahr-e-tāzīm
kyā  ajab  pā-e-nigah  se  ho  khaḌī  merī  aañkh
dil  par-e-dāġh  huā  dafn  to  laala  niklā
ugī  nargis  jo  gulistāñ  meñ  gaḌī  merī  aañkh
yaad  aate  haiñ  mujhe  hazrat-e-'nāsiḳh'  jo  'vazīr'
kyā  lagā  detī  hai  ashkoñ  kī  jhaḌī  merī  aañkh