chalegā  nahīñ  mujh  pe  fuqarā  tumhārā
haTā  lo  ki  ḳhanjar  hai  jhūTā  tumhārā
manā.eñ  to  ab  jaan  de  kar  manā.eñ
qayāmat  hai  ye  ruuTh  jaanā  tumhārā
baḌe  sīdhe  saade  baḌe  bhūle  bhāle
koī  dekhe  is  vaqt  chehrā  tumhārā
bachā  hai  jo  sāġhar  meñ  kyuuñ  pheñkte  ho
hameñ  de  do  ham  pī  leñ  jhūTā  tumhārā
ye  kyā  hai  sabab  aaj  chup  chup  ho  pyāre
batāo  to  kyuuñ  jī  hai  kaisā  tumhārā
uThāne  paḌe  ḳhaak  se  dal  ke  TukḌe
baḌā  pyaar  thā  pyaar  dekhā  tumhārā
ḳhudā  ke  liye  haañ  nahīñ  kuchh  to  kah  do
ki  muñh  tak  rahī  hai  tamannā  tumhārā
ilaaj  us  ke  bīmār  kā  tum  karoge
kahīñ  dil  chalā  hai  masīhā  tumhārā
chalā  'shā.er'  zaar  taslīm  lījiye
bhalā  ho  bhalā  mere  daatā  tumhārā