abr  kyā  ghir  ghir  ke  aayā  khul  gayā
bas  sabāt-e-bahr-e-duniyā  khul  gayā
rāz-e-dil  kitnā  chhupāyā  khul  gayā
haal  is  daulat-sarā  kā  khul  gayā
husn-e-āriz  aarzī  thā  khul  gayā
ḳhat  ke  aate  hī  lifāfa  khul  gayā
aañkh  se  rūmāl  sarkā  ba.ad-e-marg
chashm-e-tar  kā  aaj  pardā  khul  gayā
tum  jo  bole  ho  gayā  sābit  dahan
bātoñ  hī  bātoñ  meñ  uqda  khul  gayā
kaT  gayā  sar  hal  huī  mushkil  mirī
nāḳhun-e-ḳhanjar  se  uqda  khul  gayā
be-zabānī  bāteñ  sunvāne  lagī
gāliyoñ  par  muñh  tumhārā  khul  gayā
thā  qalam-band  apnī  āzādī  kā  haal
ḳhat  ko  jab  us  ne  lapeTā  khul  gayā
ḳhat  pe  ḳhat  laa.e  jo  murġh-e-nāma-bar
bole  in  murġhoñ  kā  Darbā  khul  gayā