be-chehragī-e-umr-e-ḳhajālat  bhī  bahut  hai
is  dasht  meñ  gardāb  kī  sūrat  bhī  bahut  hai
āñkheñ  jo  liye  phirtā  huuñ  ai  ḳhvāb-e-musalsal!
mere  liye  ye  kār-e-aziyyat  bhī  bahut  hai
tum  zād-e-safar  itnā  uThāoge  kahāñ  tak
asbāb  meñ  ik  rañj-e-masāfat  bhī  bahut  hai
do  saañs  bhī  ho  jaa.eñ  baham  habs-e-badan  meñ
ai  umr-e-ravāñ!  itnī  karāmat  bhī  bahut  hai
kuchh  ujrat-e-hastī  bhī  nahīñ  apne  mutābiq
kuchh  kār-e-tanaffus  meñ  mashaqqat  bhī  bahut  hai
ab  maut  mujhe  maar  ke  kyā  degī  'ġhazanfar'
āñkhoñ  ko  to  ye  ālam-e-hairat  bhī  bahut  hai