vasl  meñ  raftār-e-ma.ashūqāna  dikhlātī  hai  niiñd
aaj  kin  aTkheliyoñ  se  āñkhoñ  meñ  aatī  hai  niiñd
yād-e-chashm-e-surmagīñ  meñ  shab  ko  gar  aatī  hai  niiñd
sūrat-e-murġh-e-nigah  āñkhoñ  se  uḌ  jaatī  hai  niiñd
furqat-e-dildār  meñ  sahvan  agar  aatī  hai  niiñd
aañkh  se  bāhar  hī  bāhar  aa  ke  phir  jaatī  hai  niiñd
ain  be-hoshī  hai  hushyārī  na  samjhā  chāhiye
ahl-e-ġhaflat  kī  to  bedārī  bhī  kahlātī  hai  niiñd
karvaTeñ  le  le  ke  kahte  haiñ  shab-e-furqat  meñ  ham
kis  tarah  ai  ḳhuftagān-e-ḳhāk  aa  jaatī  hai  niiñd
in  kī  furqat  meñ  na  pūchho  sarguzisht-e-ḳhvāb-e-chashm
āj-kal  pā-e-nigah  kī  Thokareñ  khātī  hai  niiñd
sabza-e-ḳhvābīda-e-gulshan  kā  jab  aatā  hai  zikr
tab  qafas  meñ  koī  dam  bulbul  ko  aa  jaatī  hai  niiñd
furqat-e-dildār  meñ  sone  ko  marnā  kahte  haiñ
āshiqoñ  meñ  ḳhvāb-e-marg  aise  hī  kahlātī  hai  niiñd
niiñd  ko  bhī  niiñd  aa  jaatī  hai  hijr-e-yār  meñ
chhoḌ  kar  be-ḳhvāb  mujh  ko  aap  so  jaatī  hai  niiñd
kahte  haiñ  sonā  use  chauñkā  na  roz-e-hashr  tak
is  hamārī  baḳht-e-ḳhufta  kī  qasam  khātī  hai  niiñd
kyā  ġhalat  samjhe  vo  aa.egā  phaḌaktī  hai  jo  aañkh
aañkh  meñ  ḳhauf-e-shab-e-furqat  se  tharrātī  hai  niiñd
furqat-e-dildār  meñ  jo  raat  bhar  aa.ī  na  thī
vasl  meñ  aatī  huī  āñkhoñ  sharmātī  hai  niiñd
muntazir  rakhtī  hai  ġhamze  kartī  hai  aatī  nahīñ
o  but-e-tarsā  tirī  furqat  meñ  tarsātī  hai  niiñd
kū-e-jānāñ  se  jo  uThtā  huuñ  to  so  jaate  haiñ  paañv
daf.atan  āñkhoñ  se  paañv  meñ  utar  aatī  hai  niiñd
garmī-e-soz-e-jigar  betāb  kar  detī  hai  jab
ThanDī  sāñseñ  aisī  bhartā  huuñ  ki  aa  jaatī  hai  niiñd
teġh  kā  phal  khāyā  āb-e-teġh  pī  kar  so  rahe
kasrat-e-āb-o-ġhizā  se  vāqa.ī  aatī  hai  niiñd
sūrat-e-zāhid  na  jaago  hazrat-e-dil  so  raho
qibla-e-man  kāba-e-maqsūd  dikhlātī  hai  niiñd
is  mirī  dīvāngī  par  ai  junūñ  patthar  paḌeñ
aañkh  ke  Dhele  lagātā  huuñ  agar  aatī  hai  niiñd
vaah  re  tāsīr-e-ulfat  bal  be-fart-e-ittihād
ġhash  pe  ġhash  aate  haiñ  mujh  ko  jab  unheñ  aatī  hai  niiñd
sote  ho  to  chashm-e-baddūr  āñkheñ  rahtī  haiñ  khulī
fitna-e-bedār  kyā  aise  hī  kahlātī  hai  niiñd
hijr  meñ  sone  kī  aisī  hī  tamannā  ai  'vazīr'
dekhtā  huuñ  us  ko  hasrat  se  jise  aatī  hī  niiñd