jo  ḳhaas  bande  haiñ  vo  banda-e-avām  nahīñ
hazār  baar  jo  yūsuf  bike  ġhulām  nahīñ
bhalā  ho  kyā  dil  zāhid  meñ  soz-e-ulfat-e-haq
kabhī  jalāne  ke  qābil  charāġh-e-ḳhām  nahīñ
gilā  hai  chashm-e-suḳhan-go  se  ḳhāmushī  kā  hameñ
dahan  ke  hone  na  hone  meñ  kuchh  kalām  nahīñ
tū  āftāb  hai  zulf-e-siyah  nahīñ  to  na  ho
charāġh-e-roz  ko  kuchh  ehtiyāj-e-shām  nahīñ
aziiz  āshiq-e-gumnām  kā  hai  dil  us  ko
nagīñ  vo  haath  meñ  rakhtā  hai  jis  meñ  naam  nahīñ
bas  ek  haath  meñ  do  ho  ke  paḌh  dogānā-e-ishq
jo  be-namāz  hai  vo  qābil-e-salām  nahīñ
ye  sar  jhukānā  ye  muñh  phernā  hai  maan.e  diid
mirī  namāz  meñ  sajda  nahīñ  salām  nahīñ
vo  mujh  pe  marne  lagī  jo  hai  mire  darpai-e-qatl
ilāhī  is  ke  sivā  aur  intiqām  nahīñ
firāq-e-yār  meñ  dast-e-subū  uḌāte  haiñ  ḳhaak
ye  gard-bād  hai  gardish  meñ  apnā  jaam  nahīñ
na  hañs  rulā.egā  tujh  ko  ḳhumār-e-bāda-e-aish
mai-nashāt  to  is  bazm  meñ  mudām  nahīñ
phañse  na  qaid-e-ta.alluq  meñ  jo  ki  hai  āzād
chaman  meñ  tā.ir-e-nik.hat  asīr-e-dām  nahīñ
vo  dil  ho  chaak  nahīñ  ishq  kā  nishāñ  jis  meñ
nagīñ  vo  TuuTe  mohabbat  kā  jis  meñ  naam  nahīñ
rahegā  hijr  kā  din  kab  kaTe  agar  shab-e-vasl
mudām  roz-e-qayāmat  ko  bhī  qayām  nahīñ
bane  jo  baal  kā  phandā  tumhārī  teġh  kā  baal
to  murġh-e-jāñ  ke  liye  behtar  is  se  daam  nahīñ
mai-do-ātisha-e-kufr-o-dīñ  se  ḳhalq  hai  mast
magar  sharāb  ye  ham-mashrabo  harām  nahīñ
pukārā  apnā  gadā  kah  ke  mujh  ko  ai  shah-e-husn
faqīr  huuñ  tire  dar  kā  'vazīr'  naam  nahīñ