FaIyaz Rashk

har qadam KHauf hai dahshat hai riya-kari hai

FaIyaz Rashk

Bihar, India

1953
har qadam ḳhauf hai dahshat hai riyā-kārī hai
raushnī meñ bhī añdheroñ kā safar jaarī hai
tāqat-e-kufr ne kohrām machā rakkhā hai
jaane kis kis ko miTāne kī ye tayyārī hai
mil ke sab qahr bapā karte haiñ insānoñ par
hai junūñ zehn meñ aur aañkh meñ chiñgārī hai
apne andāz se ek saath yahāñ par rahnā
ye hamārī hī nahīñ terī bhī lāchārī hai
ho ġharīb aur amiir chāhe ho būḌhā bachcha
kaun hai apnī jise jaan nahīñ pyārī hai
ham ne har ahd meñ rakkhā hai bharam terā jab
tū hī ai vaqt batā kyā ye vafādārī hai
us ko duniyā meñ koī aañkh dikhā saktā hai kyā
'rashk' jis qaum meñ ehsās hai bedārī hai
Top Urdushayar.com