mere  gale  se  aan  ke  pyārā  jo  phir  lage
ye  abr  ye  bahār  mujhe  ḳhūb-tar  lage
bin  dekhe  us  pyāre  ke  āñkhoñ  ne  apnā  haal
aisā  kiyā  hai  jaise  ki  bārāñ  kā  jhaḌ  lage
mat  is  adā  o  naaz  se  gulshan  meñ  kar  guzar
Dartā  huuñ  maiñ  mabādā  kisī  kī  nazar  lage
ho  chaar  chashm  kaun  sake  aise  yaar  se
āñkhoñ  ke  dekhte  hī  piyā  kī  ḳhatar  lage
har  lail  o  har  nahār  tirī  zāt-e-pāk  se
kahtā  hai  'āftāb'  duā-e-sahar  lage