aajiz  huuñ  tire  haath  se  kyā  kaam  karūñ  maiñ
kar  chaak  garebāñ  tujhe  badnām  karūñ  maiñ
hai  daur-e-jahāñ  meñ  mujhe  sab  shikva  tujhī  se
kyuuñ  kuchh  gila-e-gardish-e-ayyām  karūñ  maiñ
aave  jo  tasarruf  meñ  mire  mai-kada  saaqī
ik  dam  meñ  ḳhumoñ  ke  ḳhumeñ  in.aam  karūñ  maiñ
hairāñ  huuñ  tire  hijr  meñ  kis  tarah  se  pyāre
shab  roz  ko  aur  sub.h  ke  ta.iiñ  shaam  karūñ  maiñ
mujh  ko  shah-e-ālam  kiyā  us  rab  ne  na  kyūñkar
allāh  kā  shukrāna  in.aam  karūñ  maiñ