go  sudh  nahīñ  us  shoḳh  sitamgar  ne  sambhālī
tis  par  bhī  koī  baat  adā  se  nahīñ  ḳhālī
kuchh  hosh  nahīñ  mujh  meñ  rahā  jab  se  pilā.ī
us  nargis-e-maḳhmūr  kī  saaqī  ne  pyālī
shabnam  ke  araq  meñ  huā  ḳhajlat  siitī  gul-e-tar
dekhī  jo  lab-e-lāl  kī  us  shoḳh  ke  laalī
ve  ġhair  hī  haiñ  jin  kī  har  ik  baat  ho  sunte
ham  ne  to  jo  kuchh  arz  kī  so  sunte  hī  Taalī
tausīf  koī  kar  sake  kyā  ai  'shah-e-ālam'
rutba  hai  tere  sher  kā  guftār  se  aalī