baat  kā  apnī  na  jab  paayā  javāb
ham  ye  samjhe  vo  dahan  hai  lā-javāb
bāteñ  sunvā.īñ  lab-e-ḳhāmosh  ne
varna  ham  dete  use  kyā  kyā  javāb
be-nishāñ  hai  vo  kamar  shakl-e-dahan
kaun  sī  shai  hai  nahīñ  jis  kā  javāb
saada  kāġhaz  bhejā  naame  ke  evaz
vaañ  se  aayā  bhī  to  saaf  aayā  javāb
pūchhtā  gar  us  kamar  kā  maiñ  nishāñ
ġhaib  se  miltā  mujhe  is  kā  javāb
tum  jo  kuchh  kahte  zabān-e-teġh  se
maiñ  dahān-e-zaḳhm  se  detā  javāb
aaj  mujh  se  baat  agar  karte  nahīñ
deñge  ye  but  kal  ḳhudā  ko  kyā  javāb
be-dahan  vo  hai  to  maiñ  huuñ  be-zabāñ
yaar  kī  sūrat  huuñ  maiñ  bhī  lā-javāb
kah  ke  ik  misra.a  mah-e-nau  rah  gayā
ho  sakā  kab  bait-e-abrū  kā  javāb
baat  sīdhī  kī  jo  thā  mazkūr-e-qad
zikr-e-abrū  meñ  diyā  TeḌhā  javāb
kījiye  kyā  baat  us  kaj-tab.a  se
degā  charḳh-e-vazhgūñ  ulTā  javāb
bāteñ  kartā  hai  jo  parda  chhoḌ  kar
mujh  ko  detā  hai  vo  dar-parda  javāb
aa  gayā  ai  vaa.e  paiġhām-e-ajal
par  na  qāsid  le  ke  kuchh  aayā  javāb
sun  ke  baiteñ  mere  hāsid  chup  rahe
ai  'vazīr'  apnā  suḳhan  hai  lā-javāb