pesh-e-āshiq  chashm-e-giryān-o-lab-e-ḳhandāñ  hai  ek
jal  gayā  jo  naḳhl  us  ko  barq  aur  bārāñ  hai  ek
dekhne  detā  nahīñ  us  ko  hijāb-e-ishq  haa.e
huuñ  maiñ  vo  mahrūm  jis  ko  vasl  aur  hijrāñ  hai  ek
nā-tavānī  se  tire  bīmār  ke  ruḳhsār  par
sailī-e-dast-e-sitam  aur  sāya-e-mizhgāñ  hai  ek
pairahan  meñ  yuuñ  badan  hai  jis  tarah  se  tan  meñ  ruuh
chashm-e-bad  duur  ab  latāfat  meñ  vo  jism-o-jāñ  hai  ek
maah  se  tashbīh  phir  tujh  ko  na  kyuuñ  kar  dījiye
chāñdnī  aur  saaya  terā  ai  mah-e-tābāñ  hai  ek
aap  se  behtar  kī  aage  ḳhud-numā.ī  hai  zubūñ
rū-ba-rū-e-mehr  māh-o-abr-e-be-bārāñ  hai  ek
chāhiye  hañs  kar  chhīḌaknā  ai  lab-e-jānāñ  namak
ātish-e-ġham  se  kabāb  aur  ye  dil-e-sozāñ  hai  ek
āshiqoñ  ke  aage  mushrik  ai  but-e-yaktā  huuñ  maiñ
gar  kahūñ  maiñ  husn  meñ  tū  aur  mah-e-kan.āñ  hai  ek
saikḌoñ  tūtī-zabāñ  haiñ  yaañ  asīr-e-dām-e-ġham
ḳhāna-e-sayyād  aur  ye  gumbad-e-gardāñ  hai  ek
ek  hī  ye  nuur  hai  dil  meñ  har  ik  ke  jalva-gar
shīshe  haiñ  lākhoñ  parī  sab  meñ  vale  pinhāñ  hai  ek