is  qadar  ham  nā-tavān-o-zār  haiñ
baazū  apne  machhliyoñ  ke  ḳhaar  haiñ
chaak  chaak  apnā  garebāñ  ho  chukā
in  dinoñ  dast-e-junūñ  bekār  haiñ
rote  haiñ  ashkoñ  ke  badle  ḳhuun  gar
abr  haiñ  ham  lekin  ātish-bār  haiñ
jaate  haiñ  gulshan  se  le  o  bāġhbāñ
ham  agar  terī  nazar  meñ  ḳhaar  haiñ
āstīñ  se  pochhiye  kaahe  ko  ashk
ab  to  muñh  par  zaḳhm  dāmn-dār  haiñ
dekh  kar  tujh  ko  magar  hairāñ  hue
aa.ine  jo  pusht-bar-dīvār  haiñ
le  uḌ  ai  vahshat  ki  apnī  paañv  ke
muntazir  ḳhār-e-sar-e-dīvār  haiñ
āñkheñ  haiñ  ḳhuñḳhār  terī  ai  masīh
kyā  hai  be-parhez  ye  bīmār  haiñ
ḳhud-baḳhud  apnā  janāza  hai  ravāñ
ham  ye  kis  ke  kushta-e-raftār  haiñ
sāya-e-ḳhanjar  meñ  aayā  ḳhvāb-e-marg
vaah  kyā  tāle.a  mire  bedār  haiñ
ham  haiñ  ranjūr  apne  ashk-o-āh  se
hai  burī  āb-o-havā  bīmār  haiñ
ab  to  hai  meñh  kā  barasnā  apne  haath
āstīneñ  abr-e-dariyā-bār  haiñ
sarv-o-shamsād-o-sanobar  baaġh  meñ
naqsha-hā-e-qāmat-e-dildār  haiñ
kaun  hai  bezār  in  rozoñ  'vazīr'
ham  jo  apne  ziist  se  bezār  haiñ