jaal  ragoñ  kā  guuñj  lahū  kī  saañs  ke  tevar  bhuul  ga.e
kitnī  fanā.eñ  kitnī  baqā.eñ  apne  andar  bhuul  ga.e
janam  janam  tak  qaid  rahā  ik  be-ma.anī  añgḌā.ī  meñ
maiñ  huuñ  vo  mehrāb  jise  mere  hī  patthar  bhuul  ga.e
jaane  kyā  kyā  giit  sunā.e  gardish  kī  sargoshī  ne
be-chehra  sayyāre  mujh  meñ  apnā  mehvar  bhuul  ga.e
biitī  huī  sadiyoñ  kā  tamāshā  aane  vaale  kal  kā  bhañvar
aate  jaate  lamhe  mujh  meñ  apnā  paikar  bhuul  ga.e
ab  bhī  chāroñ  samt  hamāre  duniyā.eñ  harakat  meñ  haiñ
ham  bhī  be-dhyānī  meñ  kyā  kyā  jism  ke  bāhar  bhuul  ga.e
duur  kināroñ  kī  retoñ  par  khoj  rahe  haiñ  aaj  'riyāz'
kis  kī  suunī  āñkhoñ  meñ  ham  apne  samundar  bhuul  ga.e